![]() |
Madina, Masjid-e-Nabwi, Image Source Credit: WallpaperCave |
Nabi ki garde kafe paa bana Diya hota
Banake Mujhko Kabutar gufa me rakh deta
Nahi to makdi ka jaala bana Diya hota
Sahaba girne na Dete Zameen par mujh ko
Wazu ke pani ka qatra bana Diya hota
Hasan Husain mere Saath khel te hote
Ke mujh ko unka khilona bana Diya hota
Udhed Kar Meri chamdi Aey khaliq e Akbar
Nabi Ke Paon ka joota bana Diya hota
Nabi me shehar ko udte Huwe pahunch jata
Ke tune mujh ko parinda bana Diya hota
Jalan se Dekhte Hire jawaharat mujhe
Nabi Ke galiyon ka Qatra bana Diya hota
Shayar - Unknown
Mujhe Bhi Shahid-e-Asra Banadiya Hota (Naat Lyrics In Urdu English)
Reviewed by We Love Islam
on
January 02, 2020
Rating:

No comments:
Assalamwalaikum aap se guzarish hai ke oopar likhe huve post aur mauzoo ke baare me hi comment karen, deegar rabta kar ne ke liye CONTACT FORM use karen.