![]() |
Ya Shahe Behro Bar Ho |
YA SHAH E BEHRO BAR NAAT LYRICS
Ya shahe behro bar ho karam ki nazar, sab ki bigdi banana tera kaam hai
Thokaren khaake girna mera kaam tha , Har qadam par uthaana tera kaam hai
Tere qadmon me aana mera kaam tha, Meri qismat jagana tera kaam hai
Mere aankhon ko hai deed ki aarzu, Rukhse parda uthaana tera kaam hai
Teri chaukhat kahan aur kahan ye jabeen,Tere faiz o karam ki to had hi nahi
Jinko dunya me na koi apna kahe, unko apna banana tera kaam hai
Baada bat ta hai sultan e kaunen ka, Sadqa moula Ali Sadqa Hasnain ka
Sadqa khuwaja pia ghouse sus saqlain ka, Hazri ho gayi ye bhi in-aam hai
Mere dil me teri yaad ka raaj hai, Zehan tere tasawwur ka mohtaj hai
Ek nigahe karam he meri laaj hai , Laaj meri nibhana tera kaam hai
Tosha e Aakhirat hai sana khuwan ka, Zikr karta rahe tere faizan ka
Teri naaten sunana mera kaam hai, Sunke taiba bulana tera kaam hai
Saqia jaan qurban tere jaam par, Ho nigahe karam apne khuddaam par
Chod di hum ne kashti tere naam par, Ab kinaare laga na tera kaam hai
Faiz jaari tera Ta-qayamat rahe,Teri nabiyon pe qayim imamat rahe
Teri mehboob choukhat salamat rahe, Ganj e rehmat lutana tera kaam hai
Pesh hai aarzu har tamanna karo,Thaamlo jaliyan iltijayen karo
Mangne walon daman kushada karo, Piyare Aaqa ka faiz o karam Aam hai
Ya Shahe Behro Bar Ho Karam Ki Nazar Sab Ki Bigdi Banana Tera Kaam Hai Lyrics In Urdu English
Reviewed by We Love Islam
on
April 23, 2020
Rating:

No comments:
Assalamwalaikum aap se guzarish hai ke oopar likhe huve post aur mauzoo ke baare me hi comment karen, deegar rabta kar ne ke liye CONTACT FORM use karen.